Saturday, December 26, 2009

Moksha

Wo tumhare apne nahi thhe,
Jinhe saath lekar
Tumne sapne sajaye
Suraj milte
Sab apni roshni ke aage
Ek rekha kheech hi dete hai !
Shikayat ka kya mulya
ya in udasiyo ka ?
'Aah' koun sunta hai ?
waqt hi nahi !
Garv karo -
Tum aaj akele ho !
Saath hai wah satya
Jise katu maan
Tumne kabhi dekha hi nahi !
Bheed, kolahal
Aankho or kaano ka dhokha hai
satya hai 'kurukshetra'
Jisse mukti ke liye
mili prakruti...........
Dharti, Aakash, Ped, Paudhe,
Unche pahad, hawaye, bunde.....
Inase baate karo
Har samadhan hai isame !
Mrityu ke baad-
Dharti ki baahe
Agni ki pavitra lapte
Ped ki shakhaye
Apne ang me samet leti hai
Rishto se aage
Yahi viram hai !
Usake aage dard ka satya
Katu nahi kurup hai
Tabhi to
hum uase jaante nahi
Jananaa bhi nahi chahate.......
Us kurupta se
Joda hai prabhi ne moksha dwar !
Pana hai uase
To sanwaro kisi ko....
Apni nishchhal bhavnaye do
antardvand se bahar niklo
Jeete jee apne sanchit punyo me
Kisi ko shamil karo !

No comments: