Thursday, December 3, 2009

Mann Ki Baate

Yeah would have thought something like this, those days were amazing i just copied the below from someone credit to that person but i truly loved this.
_________________________________________________

Maan ki Baato ki Shuruaat yahi se karte hai,
Shayad aisa hi kuchh socha thha maine........us din.....!
Raah dekhi thi is din ki kabse,
aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se
Bbade utavle the yahaan se jaane ko,
zindagi ka agla padaav paane ko.
Par naa jane kyon dil mein aaj kuch aur aata hai
waqt ko rokne ka jee chahta hai
Jin baton ko lekar rote the, aaj un par hansi aati hai
na jaane kyon aaj un pallon ki yaad bahut aati hai
Kaha karte the badi mushkil se char saal seh gaya
par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya
Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi
Meri taang ab kaun kheencha karega
sirf mera seer khane kaun mera peecha karega
Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupaye ke liye kaun ladega
kaun raat bhar saath jag kar padhega
Kaun meri gaadi mujse pooche bina lejayega
kaun mere naye naye naam banayega
Mein ab bina matlab kis se ladoonga
bina topic ke kisse faalto baat karoonga
Kaun fail hone par dilasa dilayega
kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega
Sadak mein Beer kis ke saath piyoonga
wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga
Aise dost kahaan milenge
jo khayee mein bhi dhakka de aayein
par fir tumhein bachane, khud bhi kood jayein
Mere gaano se pareshaan kaun hoga
kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga
Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai
kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai
Movies mein kiske saath dekhhonga
kis ke saath boring lectures jheloonga
Mere farzee certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega
bina dare sachi ray dene ki himmat kaun karega
Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansnana
jaane ye fir kab hoga, keh do doston ye dobaara sab hoga
Doston ke liye professor se kab lad payenge
kya hum ye fir kar payenge
Raat ko 2 baje pohe khane aur ciggy pine station kaun jayega
tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega
Kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega
aur jyada hawa mein udne par zameen pe layega
Meri khushi mein sach mein khush kaun hoga
mere gam mein mujh se jyada nam kaun hoga.

No comments: